Bil-ehtimam Zulm Ki Tajdid Ki Gai
bil-ehtimam zulm ki tajdid ki gai
aur hum ko sabr-o-zabt ki takid ki gai
awwal to bolne ki ijazat na thi hamein
aur hum ne kuchh kaha bhi to tardid ki gai
anjam-kar baat shikayat par ruki
pursish agarche az-rah-e-tamhid ki gai
tajdid-e-iltifat ki tajwiz rad hui
tark-e-talluqat ki taid ki gai
jine ka koi ek sahaara to chahiye
Dar Dar ke ki gai magar ummid ki gai
ghar ke charagh aur bhi be-nur ho gae
is darja KHatir-e-mah-o-KHurshid ki gai
(1737) Peoples Rate This