Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_8ebc1b0b6582bdbb173d86687ba63a8a, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Bas Ho Chuka Huzur Ye Parde HaTaiye - Iqbal Azeem Poetry In English - Darsaal

Bas Ho Chuka Huzur Ye Parde HaTaiye

bas ho chuka huzur ye parde haTaiye

sab muntazir hain samne tashrif laiye

aawaz mein to aap ki be-shak KHulus hai

lekin zara naqab to ruKH se haTaiye

hum mante hain aap baDe gham-gusar hain

lekin ye aastin mein kya hai dikhaiye

ab qafile ke log bhi manzil-shanas hain

aaKHir kahan ka qasd hai khul kar bataiye

baada-kashon ki asl jagah mai-kade mein hai

kis ne kaha ki aap bhi mimbar pe aaiye

(1330) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bas Ho Chuka Huzur Ye Parde HaTaiye In English By Famous Poet Iqbal Azeem. Bas Ho Chuka Huzur Ye Parde HaTaiye is written by Iqbal Azeem. Read famous Poem Bas Ho Chuka Huzur Ye Parde HaTaiye for youth and Student by Iqbal Azeem. Free Download Bas Ho Chuka Huzur Ye Parde HaTaiye in PDF.