Ab Ise Kya Kare Koi Aankhon Mein Raushni Nahin
ab ise kya kare koi aankhon mein raushni nahin
shahr bhi ajnabi nahin log bhi ajnabi nahin
hum ne ye soch kar kabhi jurat-e-arz ki nahin
shikwa ba-sad-KHulus bhi shewa-e-dosti nahin
yun to baDe KHulus se log hue hain ham-safar
rah mein sath chhoD den un se baid bhi nahin
pursish-e-haal ke siwa koi kare bhi kya magar
pursish-e-haal dosto tanz hai dosti nahin
bite hue KHushi ke din bhuli hui kahaniyan
aap ko yaad hon to hon hum ko to yaad bhi nahin
(960) Peoples Rate This