Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_3c94805e0d3b7baee9ad5ad0037f9ba2, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aankhon Se Nur Dil Se KHushi Chhin Li Gai - Iqbal Azeem Poetry In English - Darsaal

Aankhon Se Nur Dil Se KHushi Chhin Li Gai

aankhon se nur dil se KHushi chhin li gai

hum se hamari zinda-dili chhin li gai

ek roz ittifaq se hum muskurae the

is ki saza mein hum se hansi chhin li gai

kitne charagh nur se mahrum ho gae

jab se hamari KHush-nazari chhin li gai

shikwa mera mizaj na matam meri sarisht

har-chand mujh se KHanda-labi chhin li gai

'iqbaal' is KHushi ka bharosa bhi kuchh na tha

achchha hua ye dard-sari chhin li gai

(1673) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aankhon Se Nur Dil Se KHushi Chhin Li Gai In English By Famous Poet Iqbal Azeem. Aankhon Se Nur Dil Se KHushi Chhin Li Gai is written by Iqbal Azeem. Read famous Poem Aankhon Se Nur Dil Se KHushi Chhin Li Gai for youth and Student by Iqbal Azeem. Free Download Aankhon Se Nur Dil Se KHushi Chhin Li Gai in PDF.