Koi Achchha Lage Kitna Hi Bharosa Na Karo
koi achchha lage kitna hi bharosa na karo
har kisi ko kabhi apni tarah samjha na karo
jis mein tufan bhanwar mauj na gahrai ho
aise pani mein kabhi bhul ke utra na karo
chand sapne hi to TuTe hain abhi sans nahin
is tarah apni tamannaon ko maila na karo
band kamre se nikal aao ki duniya hai baDi
hath par hath dhare baiTh ke socha na karo
hum ne mana ki bahut TuT chuke ho phir bhi
chal paDe ho to kahin rah mein Thahra na karo
sar uThati hui maujon se hawaon ne kaha
waqt ke sath chalo waqt se uljha na karo
na jala panw nae dip koi baat nahin
kam se kam un ko jo jalte hain bujhaya na karo
chahe kitne hi ghane kyun na hon sae us ke
nim ke peD se aamon ki tamanna na karo
un zaminon ko mahakne do abhi peDon se
waqt se pahle unhen kaT ke sahra na karo
apni pahchan agar tum ko hai karni qaem
sab ki aawaz mein aawaz milaya na karo
Dank chahe koi mare koi chahe Das le
zahr se zahr ko 'asif' kabhi mara na karo
(935) Peoples Rate This