Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_031be6be5a52221f7467a6f00d72535d, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jo Ho Sake To Kabhi Itni Mehrbani Kar - Iqbal Asif Poetry In English - Darsaal

Jo Ho Sake To Kabhi Itni Mehrbani Kar

jo ho sake to kabhi itni mehrbani kar

uDa ke KHak meri mujh ko aasmani kar

phir us ke baad KHuda jaane kab mayassar hon

ye chand lamhe mohabbat ke jawedani kar

ba-zor-e-tegh hukumat kiya nahin karte

jo ho sake to dilon par bhi hukmarani kar

ai raushni ke payambar ki ai naqib-e-nur

lahu se apne charaghon ki pasbani kar

main aaina hun na utre kahin tera chehra

na apne aap pe itra na lan-tarani kar

main chal paDa hun qadam se qadam mila mere

rafaqaton ke safar mein na aana-kani kar

hamare lams se paDti hai jaan murdon mein

hamare hath pe baiat ai zindagani kar

na maslahat ki taraazu mein taul lafzon ko

jo dil kahe wahi honTon se tarjumani kar

na yaad kar unhen aasif wo pal jo bit gae

yahin pe dard-bhari KHatm wo kahani kar

(870) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Ho Sake To Kabhi Itni Mehrbani Kar In English By Famous Poet Iqbal Asif. Jo Ho Sake To Kabhi Itni Mehrbani Kar is written by Iqbal Asif. Read famous Poem Jo Ho Sake To Kabhi Itni Mehrbani Kar for youth and Student by Iqbal Asif. Free Download Jo Ho Sake To Kabhi Itni Mehrbani Kar in PDF.