Barg Thahre Na Jab Samar Thahre
barg Thahre na jab samar Thahre
aise mausam pe kya nazar Thahre
ahd-e-kam-maya ki nigahon mein
kaghzi phul mo'atabar Thahre
jin ko dawa tha be-karani ka
wo samundar bhi bund-bar Thahre
wo gaya bhi to us ki yaadon ke
kitne mehman mere ghar Thahre
koi apne liye bhi Thahrega
hum kisi ke liye agar Thahre
hum khare the damak uThe warna
kis mein himmat ki aag par Thahre
maut hai justuju musafir ki
ek lamha jo be-KHabar Thahre
puchh un se hai saKHt-jaani kya
aandhiyon mein bhi jo shajar Thahre
KHush ho duniya ki hum teri KHatir
bazm-e-yaran mein be-hunar Thahre
jin se 'asif' hamein tawaqqoa thi
rabte wo bhi muKHtasar Thahre
(730) Peoples Rate This