Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_2c11a760ab46b6d0fa61b78b35e9bf86, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Wo Bhi Kuchh Bhula Hua Tha Main Kuchh BhaTka Hua - Iqbal Ashhar Poetry In English - Darsaal

Wo Bhi Kuchh Bhula Hua Tha Main Kuchh BhaTka Hua

wo bhi kuchh bhula hua tha main kuchh bhaTka hua

rakh mein chingariyan DhunDi gain aisa hua

dastanen hi sunani hain to phir itna to ho

sunne wala shauq se ye kah uThe phir kya hua

umr ka Dhalna kisi ke kaam to aaya chalo

aaine ki hairaten kam ho gain achchha hua

raat aai aur phir tariKH ko dohra gai

yun hua ek KHwab to dekha magar dekha hua

wo kisi ko yaad kar ke muskuraya tha udhar

aur main nadan ye samjha ki wo mera hua

(2022) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Bhi Kuchh Bhula Hua Tha Main Kuchh BhaTka Hua In English By Famous Poet Iqbal Ashhar. Wo Bhi Kuchh Bhula Hua Tha Main Kuchh BhaTka Hua is written by Iqbal Ashhar. Read famous Poem Wo Bhi Kuchh Bhula Hua Tha Main Kuchh BhaTka Hua for youth and Student by Iqbal Ashhar. Free Download Wo Bhi Kuchh Bhula Hua Tha Main Kuchh BhaTka Hua in PDF.