Tumhaari KHushbu Thi Ham-safar To Hamara Lahja Hi Dusra Tha
tumhaari KHushbu thi ham-safar to hamara lahja hi dusra tha
ye aks bhi aashna sa hai kuchh magar wo chehra hi dusra tha
wo adh-khuli khiDkiyon ka mausam guzar gaya to ye raaz jaana
idhar shanasai tak nahin thi udhar taqaza hi dusra tha
gulab khilte the chahaton ke charagh jalte the aahaTon ke
jahan barasti hain wahshaten ab kabhi wo rasta hi dusra tha
kabhi na kahta tha dil hamara ki aansuon ko likhen sitara
judaiyon ki kasak se pahle ye istiara hi dusra tha
udas lafzon ke raste mein ye raushni ki lakir kab thi
mohabbaton ke safar se pahle ghazal ka lahja hi dusra tha
(2041) Peoples Rate This