KHuda Ne Laj Rakhi Meri Be-nawai Ki
KHuda ne laj rakhi meri be-nawai ki
bujha charagh to jugnu ne rahnumai ki
tere KHayal ne tasKHir kar liya hai mujhe
ye qaid bhi hai bashaarat bhi hai rihai ki
qarib aa na saki koi be-wazu KHwahish
badan-sarae mein KHushbu thi parsai ki
mata-e-dard hai dil mein to aankh mein aansu
na raushni ki kami hai na raushnai ki
ab apne aap ko qatra bhi kah nahin sakta
bura kiya jo samundar se aashnai ki
use bhi shah ne musahib bana liya apna
jis aadmi se tawaqqo thi lab-kushai ki
wahi to markazi kirdar hai kahani ka
usi pe KHatm hai tasir bewafai ki
(1636) Peoples Rate This