Dayar-e-dil Mein Naya Naya Sa Charagh Koi Jala Raha Hai
dayar-e-dil mein naya naya sa charagh koi jala raha hai
main jis ki dastak ka muntazir tha mujhe wo lamha bula raha hai
phir adh-khula sa koi daricha mere tasawwur pe chha raha hai
ye khoya khoya sa chand jaise teri kahani suna raha hai
wo raushni ki talab mein gum hai main KHushbuon ki talash mein hun
main daeron se nikal raha hun wo daeron mein sama raha hai
wo kam-sini ki shafiq yaaden gulab ban kar mahak uThi hain
udas shab ki KHamoshiyon mein ye kaun lori suna raha hai
suno samundar ki shoKH lahro hawaen Thahri hain tum bhi Thahro
wo dur sahil pe ek bachcha abhi gharaunde bana raha hai
(2007) Peoples Rate This