Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_431ef468f67c65a962b10955cd290b34, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Sab Tamannaon Se KHwabon Se Nikal Aae Hain - Iqbal Ashhar Qureshi Poetry In English - Darsaal

Sab Tamannaon Se KHwabon Se Nikal Aae Hain

sab tamannaon se KHwabon se nikal aae hain

hum bahut dur sarabon se nikal aae hain

KHud ko jab bhul se jate hain to yun lagta hai

zindagi tere azabon se nikal aae hain

raushni mujh ko mili hai to zara jaanch to lun

aaj sab chehre naqabon se nikal aae hain

hum nikal aae bahisht-e-shab-e-tanhai se

aur kuchh log hijabon se nikal aae hain

hum bhi is shahr ki viran si raunaq mein kahan

apne manus KHarabon se nikal aae hain

(661) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sab Tamannaon Se KHwabon Se Nikal Aae Hain In English By Famous Poet Iqbal Ashhar Qureshi. Sab Tamannaon Se KHwabon Se Nikal Aae Hain is written by Iqbal Ashhar Qureshi. Read famous Poem Sab Tamannaon Se KHwabon Se Nikal Aae Hain for youth and Student by Iqbal Ashhar Qureshi. Free Download Sab Tamannaon Se KHwabon Se Nikal Aae Hain in PDF.