Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_e10798f334003e69263fd44847a080c9, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
KHwahish Hamare KHun Ki Labrez Ab Bhi Hai - Iqbal Ashhar Qureshi Poetry In English - Darsaal

KHwahish Hamare KHun Ki Labrez Ab Bhi Hai

KHwahish hamare KHun ki labrez ab bhi hai

kuchh narm paD gai hai magar tez ab bhi hai

is zindagi ke sath buzurgon ne di hamein

ek aisi maslahat jo shar-angez ab bhi hai

haalanki iztirab hai zahir sukun se

kya kije us ka lahja dil-awez ab bhi hai

muddat hui shabab ke charche the shahr mein

wo zafrani rang sitam-KHez ab bhi hai

'ashhar' bahut si pattiyan shaKHon se chhin gain

tafsir kya karen ki hawa tez ab bhi hai

(945) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHwahish Hamare KHun Ki Labrez Ab Bhi Hai In English By Famous Poet Iqbal Ashhar Qureshi. KHwahish Hamare KHun Ki Labrez Ab Bhi Hai is written by Iqbal Ashhar Qureshi. Read famous Poem KHwahish Hamare KHun Ki Labrez Ab Bhi Hai for youth and Student by Iqbal Ashhar Qureshi. Free Download KHwahish Hamare KHun Ki Labrez Ab Bhi Hai in PDF.