Zara Si Baat Se Manzar Badal Bhi Sakta Tha
zara si baat se manzar badal bhi sakta tha
jo hadisa hua basti mein Tal bhi sakta tha
gila na kar meri raftar ka ye bojh bhi dekh
main sab ke sath hun aage nikal bhi sakta tha
hawaen us ke mere darmiyan rahti thin
qarib hote hue dasht jal bhi sakta tha
chalen wo aandhiyan rishta zamin se TuT gaya
ghana daraKHt abhi phul-phal bhi sakta tha
bas ek pal ne mujhe qaid kar liya 'anjum'
main jab giraft se us ki nikal bhi sakta tha
(629) Peoples Rate This