Mujh Par Nigah-e-gardish-e-dauran Nahin Rahi
mujh par nigah-e-gardish-e-dauran nahin rahi
shayad kisi ki zulf-e-pareshan nahin rahi
wahshat tak aa gaya hai mohabbat ka silsila
ab mujh ko fikr-e-jeb-o-gariban nahin rahi
mere jigar mein KHun ke qatre nahin rahe
un ki nazar mein barash-e-pinhan nahin rahi
zauq-e-talab se teri inayat baDh gain
meri nazar mein wusat-e-daman nahin rahi
dil yun bujha bujha sa hi kho kar tumhaari yaad
mahfil mein jaise sham-e-farozan nahin rahi
kis darja dil-shikan hai gulistan ka inqalab
bulbul bhi ab chaman mein ghazal-KHwan nahin rahi
'iqbaal' sard ho gai bazm-e-hayat bhi
jab se dilon mein aatish-e-sozan nahin rahi
(666) Peoples Rate This