Meri Fariyaad Pe Roya Hai Chaman Mere Baad

meri fariyaad pe roya hai chaman mere baad

khil gae aur bhi ghunchon ke dahan mere baad

sarfaroshi ka na zinda raha fan mere baad

KHud se uljha hi kiye dar-o-rasan mere baad

barhami teri rahi meri wafa tak baqi

kis ne dekhi tere mathe pe shikan mere baad

dil ko us zulf-e-pareshan mein giraftar hi rakh

phir bane ya na bane zulf-e-rasan mere baad

aaj bedad ko tum had se guzar jaane do

bhul jaoge qayamat ka chalan mere baad

qabil-e-qadr tha 'iqbaal' unhen hai taslim

yaad aaya hai mera tarz-e-suKHan mere baad

(792) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Meri Fariyaad Pe Roya Hai Chaman Mere Baad In English By Famous Poet Iqbal Abidi. Meri Fariyaad Pe Roya Hai Chaman Mere Baad is written by Iqbal Abidi. Read famous Poem Meri Fariyaad Pe Roya Hai Chaman Mere Baad for youth and Student by Iqbal Abidi. Free Download Meri Fariyaad Pe Roya Hai Chaman Mere Baad in PDF.