Kaam Aa Gai Hai Gardish-e-dauran Kabhi Kabhi
kaam aa gai hai gardish-e-dauran kabhi kabhi
dekhi hai zulf-e-yar pareshan kabhi kabhi
KHun-e-jigar se aatish-e-sozan ko shah mili
KHud dard ban ke rah gaya darman kabhi kabhi
tufan ki Thokaron se kinara kabhi mila
sahil se aa ke le gaya tufan kabhi kabhi
wahshat ne mujh ko bazm-e-tarab se uTha diya
nikla us anjuman se pareshan kabhi kabhi
aksar KHushi hi ban gai hai dushman-e-sukun
gham ban gaya sukut ka saman kabhi kabhi
dast-e-KHirad ne maslahatan chaak bhi kiya
si bhi liya junun ne gareban kabhi kabhi
diwanon mein shumar hua us gharib ka
'iqbaal' ho gaya jo ghazal-KHwan kabhi kabhi
(746) Peoples Rate This