Na Puchho Dosto Main Kis Tarah Hansta Hansata Hun
na puchho dosto main kis tarah hansta hansata hun
tawajjoh yaad rakhta hun taghaful bhul jata hun
mujhe to yaad hai main aaj tak bhula nahin tujh ko
bata bhule se tujh ko bhi kabhi main yaad aata hun
agar mazi bhula baiThe to apna haal kya hoga
kahani raat bhar ahl-e-chaman ko main sunata hun
ye kya kam hai ki mere dil mein pinhan daulat-e-gham hai
main akasr apni palkon ko sitaron se sajata hun
dil-e-wahshat-zada ka 'intizar' ab to ye aalam hai
ki KHud apna nasheman apne hathon se jalata hun
(746) Peoples Rate This