Dil Bhi Patthar Sina Patthar Aankh Pe PaTTi Rakkhi Hai
dil bhi patthar sina patthar aankh pe paTTi rakkhi hai
kis ne ye pani se bahar ret pe machhli rakkhi hai
mana ki tamir nahin ho pai imarat rindon ki
chand pe rakhne wale ki buniyaad abhi bhi rakkhi hai
ye bhi anokhi baat hai yaro matlab kaise samjha jae
imli ke khaTTe pani par shahd ki makkhi rakkhi hai
kale baadal ka rishta to suraj se na-mumkin hai
kali laDki ke honTon par raat ki rani rakkhi hai
koshish to nakaam rahi hai himmat lekin rakhta hun
taq mein dipak kaise jale ab ghar mein aandhi rakkhi hai
kya bolega aaj taraazu bhed abhi khul jaega
ek palDe mein sach rakkha hai ek mein chandi rakkhi hai
(1332) Peoples Rate This