Dur Tak Bas KHun Ke Thahre Hue Dariya Mile
dur tak bas KHun ke Thahre hue dariya mile
muddaton jagi hui aankhon ko dekha ro paDe
ehtiraman zindagi ko munh lagana hi paDa
warna hum aur zindagi ka zahr tauba kijiye
apne kandhon par liye apni kai shaKHsiyyaten
raat bhar aankhon ke jangal mein bhaTakte hi rahe
chiKHte chillate andeshon ki aankhen surKH hain
jism ki na-puKHta saDkon se guzarna chhoDiye
KHun ke dhabbon ki sachchai Daraati hi rahi
apne bare mein kabhi socha to ghabrane lage
TuTe phuTe kale shabdon ke bhare bazar mein
is qadar KHud ko ghumaya hai ki kale paD gae
(1003) Peoples Rate This