GhaDi Mein Aks-e-insan
ghar ki baiThak mein ek mez par
ek purani ghaDi
subh se sham tak
sham se subh tak
aur phir is tarah
subh se sham tak
sham se subh tak
waqt ke daere mein musalsal kai sal se
kar rahi hai safar
manzil-e-intiha se bahut dur hai aaj tak wo magar
asl mein us ki manzil nahin hai koi
aaj main der tak ghaur se us ko takta raha
aur us mein mujhe aks-e-insan dikhai diya
(675) Peoples Rate This