BaiTh Jata Tha Main Thak Kar Apne Tan Ki Chhanw Mein

baiTh jata tha main thak kar apne tan ki chhanw mein

ek ghar hota tha apne nam ka us ganw mein

qatre qatre ko tarasta hi raha main umr bhar

go safar karta raha main umr bhar dariyaon mein

mar ke jita tha kabhi main ji ke marta tha kabhi

KHush-nasibi thi safar karta tha do duniyaon mein

dekhti aankhon se hum chup-chap sunte hi rahe

guftugu jari thi rang-e-gul pe na-binaon mein

shahr mein rahte hue tanhai ka ye haal tha

main ghira rahta tha jaise be-karan sahraon mein

jis shajar ko kaT kar us ne haTaya rah se

rah chuka tha wo shajar us ke karam-farmaon mein

KHwab mein 'alam' ne auj-e-arsh tak parwaz ki

aur jage to wahi chakkar tha apne panw mein

(719) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

BaiTh Jata Tha Main Thak Kar Apne Tan Ki Chhanw Mein In English By Famous Poet Intikhab Alam. BaiTh Jata Tha Main Thak Kar Apne Tan Ki Chhanw Mein is written by Intikhab Alam. Read famous Poem BaiTh Jata Tha Main Thak Kar Apne Tan Ki Chhanw Mein for youth and Student by Intikhab Alam. Free Download BaiTh Jata Tha Main Thak Kar Apne Tan Ki Chhanw Mein in PDF.