Zinhaar Himmat Apne Se Hargiz Na Haariye
zinhaar himmat apne se hargiz na haariye
shishe mein us pari ko na jab tak utariye
auza'a DhunDh-DhaD ke yaron se sikhiye
hote nahin jahan mein hum se niyariye
ai ashk-e-garm kar mere dil ka ilaj kuchh
mashhur hai ki choT ko pani se dhaariye
jo ahl-e-faqr-o-shah khumhaare ke hain murid
pale hain in sabhon ne kabutar kumhaariye
galne ki dal yan nahin bas KHushka khaiye
ai shaiKH sahab aap na sheKHi baghaariye
kal jin ko khire kakDi kya kos kaT kar
aaj us pari ne in ko diye narm aariye
ho aab mein kadar to Thahar jaiye Tuk ek
dil mein kudurat aawe to kyunkar nithaariye
hai kaun si ye waza bhala sochiye to aap
baaten udhar ko kije idhar aankh mariye
puchhe haqiqat ek ne jo amn-e-rah ki
to bole sar jhuka ke bacha wo madariye
KHatra na aap kije bas ab KHair shauq se
sona uchhaalte hue ghar ko sidhaariye
hai jo buland-hausla un ki ye chaal hai
kya phir unhen bigaDiye jin ko sanwariye
panDit ji hum mein un mein bhala kaise hone ke
pothi ko apne kholiye kuchh to bichaariye
'insha' koi jawab bhi dena nahin hamein
bang-e-jaras ki tarah kahan tak pukariye
(918) Peoples Rate This