Zamin Se UTThi Hai Ya CharKH Par Se Utri Hai
zamin se uTThi hai ya charKH par se utri hai
ye aag ishq ki yarab kidhar se utri hai
utarti najd mein kab thi sawari-e-laila
Tuk aah qais ke jazb-e-asar se utri hai
nahin nasim-e-bahaari ye hai pari koi
uDan-khaTole ko Thahra jo far se utri hai
na jaan is ko shab-e-mah ye chandni-KHanam
kamand-e-nur pe auj-e-qamar se utri hai
chalo na dekhen to kahte hain dasht-e-wahshat mein
junun ki fauj baDe karr-o-farr se utri hai
nahin ye ishq tajalli hai haq-taala ki
jo rah zina-e-baam-e-nazar se utri hai
libas-e-ah mein likhne ke waste 'insha'
qalam dawat tujhe arsh par se utri hai
(1164) Peoples Rate This