Ye Kya Ki Un Ke Dil Ko Na Zinhaar ToDiye
ye kya ki un ke dil ko na zinhaar toDiye
sau bar ja ke joDiye sau bar toDiye
aao na mil ke baiThe hain be-shaghl hum so kyun
kaT kije un se yari ab ai yar toDiye
hath aawe kuchh agar na sirishta bigaD ka
to laD ke un ki motiyon ka haar toDiye
ya chheD-chhaD ke liye ek sang-e-farsh se
das panch un ke raKHna-e-diwar toDiye
ya lal churi Daliyon ko toD-taD par
raghbat se ek ghuncha-e-gulnar toDiye
shoKHi to dekho aaj yahi qasd hai ki KHair
jis Dhab se howe KHatir-e-dildar toDiye
wo kuchh kahin par apni hai bas gae jaiye
aur tan udhar ko koi tarah-dar toDiye
ya kud-phand chul bhi un ke palang ke
bas ho ke laDne-bhiDne ko tayyar toDiye
phul un ki kyariyon se kisi aur rup ka
kuchh kar ke baat-chit ke takrar toDiye
sabze ko raund Daliye ya un ke bagh ke
narangiyan hi chupke se do chaar toDiye
'insha' ye ruTh-raTh hi ek taw-bhaw ke
is toD-joD ka na kabhi tar toDiye
(810) Peoples Rate This