Ye Kis Se Chandni Mein Hum Ba-zer-e-asman LipTe
ye kis se chandni mein hum ba-zer-e-asman lipTe
ki baham arsh par mare KHushi ke qudsiyan lipTe
hudi-KHwan wadi-e-majnun mein naqe ko na le jaana
mabaada ek bagula sa ba-pa-e-sarban lipTe
adab gar hazrat-e-jibril ka mane na ho mujh ko
to shaKH-e-sidra se mere ye aah-e-na-tawan lipTe
sikandar aur dara kya karoDon aur bhi un se
paDe hain gor ke taKHte se zer-e-KHakdan lipTe
kisi Dhab se tabiat sair hoti hi nahin un se
abhi dalan se lae ba-zer-e-saeban lipTe
hanse bole rahe mashghul apne jis tarah chaha
udhar lipTe udhar soe yahan chimTe wahan lipTe
wa-lekin pas kahti hai ki hongi KHwab ki baaten
tumhein kuchh KHair hai sahab batao to jahan lipTe
kidhar loTe kidhar poTe hanse bole kidhar ja kar
kahan lipTe kahan soe kahan chimTe kahan lipTe
ghazal masti mein likh ek aur bhi 'insha' ki ta tere
balaen aa ke saqi le tujhe pir-e-mughan lipTe
(1001) Peoples Rate This