Ye Jo Mujhse Aur Junun Se Yan BaDi Jang Hoti Hai Der Se
ye jo mujh se aur junun se yan baDi jang hoti hai der se
so kuchh aisi Dhab se laDai hai laDe sher jaise ki sher se
bani shakl laila-e-nau-jawan mere data kya kahun al-aman
wo tajalli ek jo hui ayan kisi raat qais ke Dher se
abhi do mahine se hun juda na to KHwab mein bhi nazar paDa
bhala aur andher ziyaada kya kahin hoga aise andher se
mujhe shamiyana tale se kya mera dil to kahta hai mujh se aa
sar-e-rah koThe pe baiTh ja yahin takiya de ke munDer se
teri baadle ki ye oDhni are barq kaunde nazar mein tab
kare ye ghaTa jo muqabla kisi peshwaz ke gher se
nahin intizar ke hausle mujhe sujhe saikDon artale
qasam un ne khai to hai wale mera ji Dare hai adher se
bhala mujh se dew ke samne koi Thonk sakte hain KHam bhala
are ye anguThe se aadmi to bichaare KHud hain baTer se
wahi pi kahan wahi pi kahan yahi ek raT si jo hai so hai
mahaaraj choT si lagti hai mujhe is papihe ki Ter se
ghazal 'insha' aur bhi ek likh isi bahar aur radif ki
ki zabar ki qafiye jis mein hon mujhe nafrat aa gai zer se
(933) Peoples Rate This