Wo Dekha KHwab Qasir Jis Se Hai Apni Zaban Aur Hum
wo dekha KHwab qasir jis se hai apni zaban aur hum
ki goya ek ja hai us mein hai wo naujawan aur hum
wo ro ro mujh se kahta hai KHuda ki baaten hain warna
bhala Tuk dil mein apne ghaur kar tu ye makan aur hum
jo puchha qais se laila ne jangal mein akele ho
to bole ai nahin wahshat hai aur aah-o-fughan aur hum
aji gaDbaD rahi hai aql apne sab farishton se
paDe phirte hain baham sair karte qudsiyan aur hum
nasha hai aalam-e-masti hai be-qaidi hai rindi hai
kahan ab zohd-o-taqwa hai KHarabaat-e-mughan aur hum
niyabat hum ko rizwan ki mili maula ke sadqe se
wagarna ohda-e-darbani-e-bagh-e-jinan aur hum
ajab ranginiyan baaton mein kuchh hoti hain ai 'insha'
baham ho baiThte hain jab saadat-yar-KHan aur hum
(794) Peoples Rate This