Tumhaare Hathon Ki Ungliyon Ki Ye Dekho Poren Ghulam Tison
tumhaare hathon ki ungliyon ki ye dekho poren ghulam tison
gharaz ki ghash hai agar na mano to jhaT uTha le kalam tison
imam bara buruj bara anasir-o-jism-o-ruh ai dil
yahi to sarkar-e-haq-taala ki hain mudar-ul-maham tison
nahin ajaib kuchh aankh hi mein rutubaten tin sat parde
oqul das mudrikat das hain so karte rahte hain kaam tison
ulum chaudah maqula das aur jihat sitta banae us ne
umur-e-duniya ko taki pahunchaen KHub sa insiram tison
balaen kali hain us pari bin ye tison raaten kuchh aisi 'insha'
ki har mahine ke din bhi jin ko kare hain jhuk kar salam tison
(954) Peoples Rate This