ToDunga KHum-e-baada-e-angur Ki Gardan
toDunga KHum-e-baada-e-angur ki gardan
rakh dunga wahan kaT ke ek hur ki gardan
KHuddar ki ban shakl alif hae anal-haq
nit chahti hain ek nai mansur ki gardan
kyun saqi-e-KHurshid-e-jabin kya hai nasha hun
sab yunhi chaDha jaun mai-e-nur ki gardan
uchhli hui warzish se tari DanD pe machhli
hai nam-e-KHuda jaisi saqanqur ki gardan
tha shaKHs jo gardan-zadani us se ye bole
ab dijiye hai deni jo manzur ki gardan
aaine ki gar sair kare shaiKH ye dekhe
sar KHurs ka munh KHuk ka langur ki gardan
yun panja-e-mizhgan mein paDa hai ye mara dil
jun changul-e-shahbaz mein usfur ki gardan
tab aalam-e-masti ka maza hai ki paDi ho
gardan pe meri us but-e-maKHmur ki gardan
baiTha ho jahan pas sulaiman ke aasif
wan kyun na jhuki qaisar o faghfur ki gardan
bhenchi hai baghal apni main is zor se jo ishq
to toDne par hai kisi majbur ki gardan
ai mast ye kya qahr hai KHisht-e-sar-e-KHum se
kyun tu ne surahi ki bhala chur ki gardan
mahfil mein tari shama bani mom ki maryam
pighli paDi hai us ki wo kafur ki gardan
ai dew-e-safed-e-sahari kash tu toDe
ek mukke se KHur ke shab-e-dijur ki gardan
jab kushta-e-ulfat ko uThaya to alam se
bas hil gai us qatil-e-maghrur ki gardan
be-saKHta bola ki are hath to Tuk do
Dhalke na mere aashiq-e-maghfur ki gardan
hasid to hai kya chiz kare qasd jo 'insha'
tu toD de jhaT balgham-e-baur ki gardan
(1516) Peoples Rate This