Tafazzulat Nahin Lutf Ki Nigah Nahin
tafazzulat nahin lutf ki nigah nahin
muamla abhi mutlaq wo ru-ba-rah nahin
ghalat hai aah ki hai dil ko dil se rah nahin
ki teri chah mujhe tujh ko meri chah nahin
ghulam hum to hain aise mizaj walon ke
kisi ke sath kisi Dhab ki jin ko rah nahin
hamari chori jo sabit hui dalil bhi kuchh
muqir nahin koi shahid nahin gawah nahin
tawazo aap ki hum kya karen bhala sahib
ba-qaul shaKHse is apne jigar mein aah nahin
rukhaiyan jo yahi hain to is tarah apna
nahin nahin nahin hargiz nahin nibah nahin
haram se dair mein yan aab-o-dana le aaya
ba-rabb-e-kaba mera is mein kuchh gunah nahin
na kuchh jihat na sabab qah-qah hanste ho
tumhaari KHush mujhe aati ye qah-qah nahin
kahun ba-qaid-e-qasam la-ilaha il-lallah
ki tab-e-hijr bas ab mujh mein ai ilah nahin
(987) Peoples Rate This