Tab Se Aashiq Hain Hum Ai Tifl-e-pari-wash Tere
tab se aashiq hain hum ai tifl-e-pari-wash tere
jab se maktab mein tu kahta tha alif be te se
yaad aata hai wo harfon ka uThana ab tak
jim ke peT mein ek nukta hai aur KHali he
he ki par shakl hawasil ki si aati hai nazar
nuqta is par jo laga KHe hua ye wah be KHe
dal bhi chhoTi bahan us ki hai jun aatuje
ek parkala sa beTa bhi hai ghar mein un ke
re bhi KHali hai aur ze pe hai wo nukta ek
ki mushabah hai jo til se meri ruKHsare ke
scene KHali hai baDi shin pe hain nuqta tin
sad aur zad mein bas farq hai ek nuqte se
toe bin turra hai aur zoe par ek nuqta phir
ain be-aib hai aur kane miyan ghain hue
fe pe ek nuqta hai aur qaf pe hain nuqta do
kaf bhi KHali hai aur lam bhi KHali, ye le
mim bhi yun hi hai aur nun ke andar nuqta
muflisa beg hai ye waw bhi aur chhoTi he
kya KHalifa ji ye hai hai hai nahin se nikle
aage chhuTTi do ai lo lam alif hamza ye
galiyan teri hi sunta hai ab 'insha' warna
kis ki taqat hai alif se jo kahe us ko be
(1368) Peoples Rate This