Shab KHwab Mein Dekha Tha Majnun Ko Kahin Apne
shab KHwab mein dekha tha majnun ko kahin apne
dil se jo karah uTThi laila ko liya tap ne
dekhe tere jalwa ko baamhan ki jo beTi bhi
munh se wahin kalme ko yakbar lage japne
hai jins pari sa kuchh aadam to nahin aslan
ek aag laga di hai us amard-e-KHush-gap ne
is tarah ke milne mein kya lutf raha baqi
hum us se lage rukne wo hum se laga chhapne
hangam-e-suKHan-sanji aatish ki zabani ko
sharminda kiya ai dil us shoKH ke gap-shap ne
har amr mein duniya ke maujud jidhar dekho
aadam ko kiya hairan shaitan ki lap-jhap ne
garmi se mere dil ki is mausam-e-sarma mein
ye gumbad-e-gardun bhi yakbar laga tapne
rah wadi-e-aiman ki leta hun ki ghabraya
is dil ki badaulat yan mujh ko taraf-e-chap ne
hai hum se bhi ho sakta jo kuchh na kiya hoga
majnun se jafa-kash ne farhad se sar-khap ne
chal haT bhi pare bijli dal baadalon ko le kar
dahla hai diya teri talwaron ki shap shap ne
kab tak na karahun main nala na bharun kyun-kar
main kya karun ai 'insha' ab ji hi laga khapne
(859) Peoples Rate This