Sahab Ke Harza-pan Se Har Ek Ko Gila Hai
sahab ke harza-pan se har ek ko gila hai
main jo nibahta hun mera hai hausla hai
chaudah ye KHanwade hain chaar pir-tan mein
chishtiyya sab se achchhe ye zor silsila hai
phir kuchh gae huon ki mutlaq KHabar na pae
kya jaaniye kidhar ko jata ye qafila hai
bar-e-garan uThana kis waste azizo
hasti se kuchh adam tak thoDa hi fasla hai
de galiyan hazaron sun matla is ghazal ka
kahne lage ki 'insha' is ka ye sila hai
(955) Peoples Rate This