Sad-barg Gah Dikhai Hai Gah Arghawan Basant
sad-barg gah dikhai hai gah arghawan basant
lai hai ek taza shagufa yahan basant
bhar bhar ke gulistan mein mai-e-aish-o-jashn se
deti hai har ghaDi mujhe ritl-e-garan basant
tu uTh chala to zard hue sab ke rang-e-ru
kal aa gai bahaar mein ye na-gahan basant
aate nazar hain dasht-o-jabal zard har taraf
hai ab ke sal aisi hai ai dostan basant
shadabi-e-nasim se bahr-e-surur ko
karti hai josh mar ke ab be-karan basant
gar fil-masal malaika hon ahl-e-zohd sab
le aawe bahr-e-sair unhen mu-kashan basant
patte nahin chaman mein khaDakte tere baghair
karti hai is libas mein har-dam fughan basant
gar shaKH-e-zafaran use kahiye to hai rawa
hai farah-baKHsh waqai is had kohan basant
gurwa bana ke rish-e-moKHazzab se mohtasib
jata hai us maqam mein jawe jahan basant
'insha' se shaiKH puchhta hai kya salah hai
targhib-e-baada di hai mujhe ai jawan basant
(1138) Peoples Rate This