Nadan Kahan Tarab Ka Sar-anjam Aur Ishq
nadan kahan tarab ka sar-anjam aur ishq
kuchh bhi tujhe shuur hai aaram aur ishq
lene na dewenge mujhe Tuk chain jite ji
dushman ye dono gardish-e-ayyam aur ishq
yan ghash hain shauq-e-tauf hain yaran-e-kaba ko
ai nama-bar tu kahiyo ye paigham aur ishq
kya nam le ke us ka pukara karun ki yan
rakhta hai har zaban mein ek nam aur ishq
puchha kisi ne qais se tu hai mohammadi
bola wo bhar ke aah ki islam aur ishq
asbab-e-kaenat se bas ho ke be-nawa
'insha' ne intiKHab kiya jam aur ishq
(867) Peoples Rate This