Jab Tak Ki KHub Waqif-e-raaz-e-nihan Na Hun
jab tak ki KHub waqif-e-raaz-e-nihan na hun
main to suKHan mein ishq ke bolun na han na hun
KHalwat mein teri bar na jalwat mein mujh ko hae
baaten jo dil mein bhar rahi hain so kahan kahun
gahe jo us ki yaad se ghafil ho ek dam
mujh ko dahan mein apne lagi hai zaban zubun
shatt-e-amiq-e-ishq ko ye chahta hun main
abr-e-mizha se ro ke use be-karan karun
tufan-e-nuh aankh na hum se mila sake
aati nazar hain chashm se har pal ayan uyun
naseh KHayal-e-KHam se kya is se faeda
kab mere dil se ho hawas-e-dil-baran barun
ye iKHtilat kijiye mauquf naseha
maqul yani dil use ai qadr-dan na dun
'insha' karun jo pairwi-e-shaiKH-o-barhaman
main bhi unhon ki tarah se jun gumrahan rahun
KHalwat-sara-e-dil mein hai ho kar ke moatakif
baiTha hun kya gharaz kahin ai jahilan hilun
(834) Peoples Rate This