Hazrat-e-ishq Idhar Kije Karam Ya Mabud
hazrat-e-ishq idhar kije karam ya mabud
baal-gopal hain yan aap ke hum ya mabud
banda-KHana mein aji laiye tashrif-e-sharif
aa ke rakh dije in aaankhon pe qadam ya mabud
nafi isbaat ki shaghil jo qalandar hain so wo
apni gardan ko nahin karte hain KHam ya mabud
apne data ki haqiqat ke hain jalwa tum mein
lama-e-nur-e-tajalli ki qasam ya mabud
jald phaTkariye sabze ke nashe ko koDa
khinchiye aur koi sulfe ka dam ya mabud
aap hi aap hain wo aap ne sach farmaya
yun bhi kuchh dhoke se the nam ko hum ya mabud
warna ye aariyatan hai jo wajud apna so
guzaran wo to hai jun mauja-e-yam ya mabud
waqai bolne se apne laDa baiThe jo aankh
kyun KHudi se na kare pher wo rum ya mabud
aankh ko kahte arab ain hain so ain agar
dam par aa jae to ho ain-e-adam ya mabud
raat tiryak nasha ne to ulaT Dala wah
koi ghola to wo tha kasa-e-sam ya mabud
sidra tak aan to pahuncha hun dili qasd hai ye
ki baDhun aur bhi do-chaar qadam ya mabud
chaar zanu ho ab 'insha' bhi zamin se uncha
yak wa jab rahne laga sada ki dam ya mabud
(1279) Peoples Rate This