Hai Mujhko Rabt Bas-ki Ghazalan-e-ram Ke Sath
hai mujh ko rabt bas-ki ghazalan-e-ram ke sath
chaukun hun dekh sae ko apne qadam ke sath
hai zat-e-haq jawahir o aghraaz se bari
tashbih kya hai us ko wajud o adam ke sath
kya ain o mulk o waza o izafat ka daKHl wan
hai infial o fel mata kaif-o-kam ke sath
dekha main sath Dhol ke suli par un ka sar
faKHriyya wo jo phirte the tabl-o-alam ke sath
dekhi ye chah un ki andhere kuen ke bich
phenka lapeT kushte ko apne gulam ke sath
ku-e-butan se tauf-e-haram ko chale to hum
lekin kamal-e-hasrat o hirman o gham ke sath
thin apni aankhen halqa-e-zanjir ki namat
paiwasta hil rahi dar-e-baitus-sanam ke sath
kahte ho wun se hoke idhar aao wun chalen
kya KHub kyun na dauD paDun aise dam ke sath
tum aur baat mano aji sab nazar mein hai
danton tale zaban dabani qasam ke sath
ab chheD chhaD ki ghazal 'insha' ek aur likh
hain lakh shoKHiyan teri nok-e-qalam ke sath
(1045) Peoples Rate This