Hai Jis Mein Qufl-e-KHana-e-KHummar ToDiye
hai jis mein qufl-e-KHana-e-KHummar toDiye
yani dar-e-bahisht ko yakbar toDiye
kyun qaid-e-KHum mein duKHtar-e-raz hi paDi rahe
ye mohr-e-resman-e-sarokar toDiye
shagird amir-hamza-e-sahib-qiran ke hain
kyunkar bhala na qila-e-ashrar toDiye
kije laqa-e-baKHtar-e-be-baqa ko qaid
najtak ke sar pe gurz-e-garan-bar toDiye
choTi pakaD ke nargis-e-jadu ki khinchiye
kalle ko us ke mariye lalkar toDiye
rustam se chhin lijiye dew-e-safed ko
aur is ki dah maroD ke talwar toDiye
sadd-e-sikandari bhi jo chaDh jae dhyan to
wohin tufail-e-haidar-e-karrar toDiye
aa jawen haft-KHwan-e-tilismat samne
to KHair se unhen bhi ba-takrar toDiye
hisn-e-zamurradain-e-adu koh-e-qaf par
howe to us ko bhej ke ayyar toDiye
zambil hai amar ki dil-e-fikr-KHez ye
is ko kisi tarah se na zinhaar toDiye
hai azm-jazm ye ki zabardasti aaj to
band-e-qaba hai mausam-e-gulzar toDiye
ya chheDne ko abr ke ek jhaTka mar kar
shalwar-band barq-e-sharar-bar toDiye
ji chahta hai le ke balaen tumhaari aaj
poren in ungliyon ko sab ai yar toDiye
'insha' dikha ke aur bhi ek jalwa-e-ghazal
band-e-naqab-e-shahid-e-asrar toDiye
(1212) Peoples Rate This