Gahe Gahe Jo Idhar Aap Karam Karte Hain
gahe gahe jo idhar aap karam karte hain
wo hain uTh jate hain ye aur sitam karte hain
ji na lag jae kahin tujh se isi waste bas
rafta rafta tere hum milne ko kam karte hain
waqai yun to zara dekhiyo subhan-allah
tere dikhlane ko hum chashm ye nam karte hain
ishq mein sharm kahan naseh-e-mushfiq ye baja
aap ko kya hai jo is baat ka gham karte hain
galiyan khane ko us shoKH se milte hain han
koi karta nahin jo kaam so hum karte hain
hain talabgar mohabbat ke miyan jo ashKHas
wo bhala kab talab-e-dam-o-diram karte hain
ain masti mein hamein did-e-fana hai 'insha'
aankh jab mundte hain sair-e-adam karte hain
(1041) Peoples Rate This