Faqirana Hai Dil Muqim Uski Rah Ka
faqirana hai dil muqim us ki rah ka
gharaz kya ki muhtaj ho baadshah ka
KHadang aah ka ai falak be-tarah hai
bharosa tu taron ki mat kar zirah ka
KHarabaat ki jab se lazzat paDi hai
chhuTa baiThna masjid-o-KHanqah ka
tawaf-e-haram tujh ko zahid mubarak
mera aur tera nahin sath rah ka
sanam-KHana jata hun tu mujh ko nahaq
na bahka na bahka na bahka na bahka
tere munh se kuchh bu jo aati hai mai ki
dimagh-e-dil us waqt jata hai mahka
raqibon ke dil chaak misl-e-katan hon
guzar us taraf ho agar apne rah ka
teri aashnai mein kya hum ne paya
diya naqd-e-dil aur apni girah ka
chamak kar tu ai barq mat mar chashmak
to maston ki aatish ko mat aur dahka
tabhi lutf hai saqiya mai-kashi ka
ki tu bhi bahak aur mujh ko bhi bahka
kabhi tujh se 'insha' ne bosa na manga
gunahgar hai wo faqat ek nigah ka
(875) Peoples Rate This