Dhum Itni Tere Diwane Macha Sakte Hain
dhum itni tere diwane macha sakte hain
ki abhi arsh ko chahen to hila sakte hain
mujh se aghyar koi aankh mila sakte hain
munh to dekho wo mere samne aa sakte hain
yan wo aatish-e-nafasan hain ki bharen aah to jhaT
aag daman-e-shafaq ko bhi laga sakte hain
sochiye to sahi haT-dharmi na kije sahab
chuTkiyon mein mujhe kab aap uDa sakte hain
hazrat-e-dil to bigaD aae hain is se lekin
ab bhi hum chahen to phir baat bana sakte hain
shaiKHi itni na kar ai shaiKH ki rindan-e-jahan
ungliyon par tujhe chahen to nacha sakte hain
tu giroh-e-fuqara ko na samajh be-jabrut
zat-e-maula mein yahi log sama sakte hain
dam zara sadh ke lete hain phareri to abhi
sun khinchi hui lahut ko ja sakte hain
garche hain munis-o-gham-KHwar tag-o-dau mein sahi
par teri taba ko kab rah pe la sakte hain
chaarasaz apne to masruf-e-badal hain lekin
koi taqdir ke likkhe ko miTa sakte hain
hai mohabbat jo tere dil mein wo ek taur pe hai
hum ghaTa sakte hain is ko na baDha sakte hain
kar ke jhuTa na diya jam agar tu ne to chal
mare ghairat ke hum afyun to kha sakte hain
ham-nashin tu jo ye kahta hai ki qadghan hai bahut
ab wo aawaz bhi kab tujh ko suna sakte hain
ai na aawaz sunawen mujhe dar tak aa kar
apne panw ke kaDon ko to baja sakte hain
hum to hanste nahin par aap ke hansne ke liye
aur agar sang nahin koi bana sakte hain
kali kaghaz ki abhi ek katar kar becha
zahid-e-bazm ke munh par to laga sakte hain
ghar se bahar tumhein aana hai agar mana to aap
apne koThe pe kabutar to uDa sakte hain
jhulte hain ye jo jholi mein so kahte hain mujhe
ek wade pe tujhe barson jhula sakte hain
ek Dhab ke jo qawafi hain hum un mein 'insha'
ek ghazal aur bhi chahen to suna sakte hain
(1054) Peoples Rate This