Bhale Aadmi Kahin Baz Aa Are Us Pari Ke Suhag Se
bhale aadmi kahin baz aa are us pari ke suhag se
ki bana hua ho jo KHak se use kya munasibat aag se
bahut apni tak buland thi koi bis gaz ki kamand thi
par uchhaal phanda wo band thi tere chauki-daron ki jag se
bahut aae mohre kaDe kaDe wo jo munD-ji the baDe baDe
wale aise to na nazar paDe ki jo saf pak hon lag se
wo siyah-baKHt jo raat ko tere dam-e-zulf mein phans gaya
use aa ke wahm-o-KHayal ke lage Dasne saikDon nag se
bhara main ne bindraban mein jo are kishn hop ka nara to
mahaaraj nachte kudte chale aae laT-paTi pag se
lage kahne khem-kusal use jo 'ali' ke dhyan ke bich hai
tore dukh-daliddar jitte the gae bhag aap ke bhag se
hoe aashiq un ke hain mard o zan ye anokhi un ki bhi kuchh nahin
koi taza aae hain barhaman ye jo kashi aur prag se
tujhe chahte nahin hum hain bas unhon ko bhi to teri hawas
wo jo bhakDe ber se sau baras ke purane buDhe hain dag se
ai lo aae aae siwae kuchh nahin baat dhyan mein chaDhti kuchh
kuchh ek in faqiron ki majlisen bhi to milti-julti hain bhag se
mujhe kaam un ke jamal se na to Tappe se na KHayal se
na to wajd se na to haal se na to nach se na to rag se
ye saadat us ko 'ali' ne di jo wazir-e-azam-e-hind hai
ki badaulat us ki jahan mein nahin KHauf bakri ko bag se
mujhe rahm aata hai aison par basar apne karte hain waqt jo
kisi phal se ya kisi phul se kisi pat se kisi sag se
guthi in suron hi mein aa gai mujhe ek urus ke bas se
abhi 'insha' apna ho bas agar to lipaT hi jaun bahag se
(993) Peoples Rate This