Bandagi Humne To Ji Se Apni Thani Aap Ki
bandagi hum ne to ji se apni Thani aap ki
banda-parwar KHair aage qadr-dani aap ki
thi jo wo lahi ki Topi zafrani aap ki
so hamare pas hai ab tak nishani aap ki
dam-ba-dam kah baiThna bas jao apni un ke pas
kyun nahin jati wo ab tak bad-gumani aap ki
kya kahun mare KHushi ke haal mera kya hua
aamad aamad jo hui kal na-gahani aap ki
hai kisi se aaj wada kuchh aji KHali nahin
ye dhaDe missi ki honTon par jamani aap ki
hum ne sau raaten jagain tab hua ye ittifaq
so usi din ko dhari thi nind aani aap ki
mere haq mein ab jo ye irshad farmaya ki hai
KHub yan manqush-KHatir jaan-fishani aap ki
lek main oDhun bichhaun ya lapeTun kya karun
rukhi phiki aisi sukhi mehrbani aap ki
kyun na ishq-allah bolun hazrat-e-dil aap ko
peshwaon ne bhi apni aan mani aap ki
did kar Dala bas un se aalam-e-lahut sabt
jis ne lagdi bank ki safi mein chhani aap ki
apni aankhon mein paDi phirti hai ab tak roz-o-shab
arsh par data wahi surat dikhani aap ki
ai junun ustad bas KHam Thonk kar aa jaiye
han KHalifa hum bhi dekhen pahalwani aap ki
sadqa sadqa kyun na ho jaun bhala ghash kha ke main
dekh gadrai hui uThti jawani aap ki
sabza-aghazi so ye kuchh tispe aafat sadgi
qahr phir us baat par gardan hilani aap ki
apni aankhon mein tarawaT aa gai yak-bargi
dekh kar ye lahlahe poshak dhani aap ki
kyun na laDki sab kahen hawwa tumhein ai shaiKH jiyu
hai jamuKHi ki si surat ye Darani aap ki
gol pagDi nili lungi munchh munDi takiya rish
phir wo rumal aur wo aaKH-thu nasdani aap ki
do gulabi la ke saqi ne kaha 'insha' ko raat
zafrani mera hissa arghawani aap ki
(854) Peoples Rate This