Aane ATak ATak Ke Lagi Sans Raat Se
aane aTak aTak ke lagi sans raat se
ab hai umid sirf KHuda hi ki zat se
saqi hawa-e-sard ko tu sarsari na jaan
kaifiyyat us ki puchh nabaat-e-nabaat se
apna sanam wo qahr hai ai barhaman ki gar
dekhe manat ko to gira dewe lat se
kal se to iKHtilat mein taza hai iKHtiraa
rukne lagi hain aap meri baat baat se
pesh aaiye ba-shafqat-o-lutf us se shaiKH ji
bint-ul-anab ko jaaniye apne nabaat se
hasil kiya jo hum ne qadam-bos-e-pir-e-dair
aai sada-e-ishq dar-e-somnat se
hain wajib-ul-wajud ke anwar ishq mein
us ki sifat-e-zat nahin mumkinat se
ashaar-e-taba-zad meri sun ke shoKH wo
kahne laga ki faeda is mohmalat se
mutlaq mila ke aankh idhar dekhte nahin
aate nazar ho aaj bhi kam iltifat se
'insha' ne aa laga hi liya tum ko baat mein
zalim wo cukta hai koi apni ghat se
(921) Peoples Rate This