Uske Nam Jise Tariki Nigal Chuki
kaun paDh sakta hai baatin ko
kaun chhu sakta hai aankhon ki virani ko
kaun diwaron pe marti dhup ko apne andar utar sakta hai
jab hawas koDh-zada ho jaen
tab judai ke zaKHm se man ajnabi ho jata hai
wo meri aawaz ke lams se bahut dur hai
wo kaun si banjar zamin hai
jahan mere kisi ehsas kisi kaifiyat ki rasai nahin hoti
be-tahasha chiKH mere andar jama hai
mohabbat kis kis tarah se mazaq banti hai
KHuda ne har bar mere dil ko aazmaya
ye meri KHud-kalami hai jo mujhe zinda rakhe hue hai
warna mujhe marne walon ne
mera amn KHali kar diya tha
us ne KHamoshi ko apna hathiyar banaya
aur us hathiyar se
fariyaad karne wale ki ruh ko zaKHmi kar diya
wo jaanta hai
tashaddud kis kis tarah se kiya ja sakta hai
wo be-zar ho gaya us aawaz se
wo be-zar ho gaya us aawaz se
jo rok rahi thi use andheron mein jaane se
afsos
wo kho gaya
use tariki nigal chuki hai
(945) Peoples Rate This