Tazad
diwar pe rengta hua kiDa
nazar se ojhal ho jata hai
wo diwar ke aaKHiri sire tak pahunch saka
ya bich mein hi gir gaya
diwar hi to us ke wajud ka sahaara hai
wo bas rengne ki aazadi chahta hai
agar wo diwar ke aaKHiri sire tak pahunch gaya
to use zinda rahne ka sukh milega
magar us ka zinda rahna KHatra hai
ki us rengte hue kiDe ke murda wajud pe
baDe baDe aiwan khaDe hain
jis mein basne walon ne
kiDe ko diwar se giraya
aur ab wo is ke sog mein
sada-e-ehtijaj buland karenge
(798) Peoples Rate This