Raqs-e-agahi
ruba wo diwangi de mujhe
rachaun wo tanDo
ki TuT jae KHamoshi
khul jaen sile hue lab
panw mere thirken
to zamin khisak jae in qadmon tale
jo lutf-andoz mujhe iza pahuncha ke
maula
wo barahnagi dekhi main ne
jo dabiz poshakon mein chhupa li gai
mujhe kaun sunta
ki faislon ki kursi par mazur dimagh baiThe the
main ne dekha ahl-e-rijal ko
past-qamaton ke ghere mein
masKHare jab ismat-dari karte hain fikr-o-danish ki
tab murda maashre ki be-hisi-o-bebasi ko
main ne dekha hai mabud
main ne saDe-gale samaj mein mohabbat ko pamal hote hue dekha
ruba
wo diwangi de mujhe
rachaun wo tanDo
ki nishan bhi na rahen
zamin-e-nahaq ke
(858) Peoples Rate This