KHuda Se Kalam
KHuda-e-bartar
teri wahdaniyat ki qasam
jab bhi tere aage sar-ba-sujud hui
to niyyat ki
ki zamin ke un tamam KHudaon ko radd karti hun
jo apne ohdon ke aage
mujhe jhukane par ba-zid rahe
ai hamesha rahne wali zat
jab koi jism-e-KHaki taqat ke nashe mein
kisi kamzor ko kuchalta hai
tab guzarta waqt is par bahut hansta hai
ai raaziq-e-rahim
hum aise nizam ko bhog rahe hain
jahan ek ki baqa dusre ki bhuk par qabiz hone mein hai
tu ki waqif hai dilon ke bhed se
aise haalat aa jate hain ki
sach gosha-nashin ho jata hai
sharafat aur haya pe
sang-bari hoti hai
ai KHaliq-e-kaenat
tu ne apne kalam mein zamin ka dukh bayan kiya hai
jo an-ginat mazalim apne upar jhelti hai
is zamin ki KHamoshi ki qasam
sare zalim apni dasht apni saffakiyon ka khel rachate rachate
ek din zamin ke andar chale jate hain
ai KHuda-e-azim
ye zamin mera bichhauna
main ne us ki KHamushi ko apne sine mein utara
tere ata kiye hue hausle ne
mere qadam ukhaDne nahin diye
warna
kisi drill-machine ki tarah
jumle dil mein suraKH karte gae
tashannuj-zada chehron par hansi tab dikhai di
jab aankhon se KHwab chhin liye gae
ai mere parwardigar
hamein ek aisa muashra diya gaya
jahan hamare phepDon pe panw rakh ke hukmarani karne wale
hamari sans ke chalne rukne ka tamasha dekhte hain
tashama-binon ki aankhon us ant ki muntazir hoti hain
ki jab in se zinda rahne ki bhik mangi jae
ai mere mabud
main ne aise hi kagar pe
teri bartari talab ki
ai mere dukhon ke raaz-dan
tu waqif hai
jab mere ird-gird girya-e-wahshat tari tha
aur mujhe bataya ja raha tha
ki sartan mere bap ko kha raha hai
wo waqt tha ki na koi harf-e-tasalli kaam aa sakta tha na koi ummid baqi rah gai thi
meri aankhen KHushk thin
mere sare aansu mere andar girte gae
wo waqt tha mere mabud
jab tu ne mere qalb ko gham se labrez kar ke
meri tarbiyat ki thi
mujhe bawar hua
ki aane wale waqt mein qadam qadam pe
mujhe sartan ka saman karna hoga
fiqron mein qahqahon mein
us shaitan ko kankari kaun mare
jo tarik dilon ke mina mein baiTha hai
mere maula
main kisi moajize ki muntazir nahin
bas itni himmat de mujhe
ki tirgi ke muqabil
raushni ko hameshgi de dun
(1146) Peoples Rate This